tere bimar-e-gham ki soz-o-samani nahin jati
tere bimar-e-gham ki soz-o-samani nahin jati
Shabbar Jilani Qamri
MORE BYShabbar Jilani Qamri
tire bīmār-e-ġham kī soz-o-sāmānī nahīñ jaatī
ye aalam hai ki ab sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī
dil-e-nādāñ ye kyā zid hai ki khelūñgā hasīnoñ meñ
are kam-baḳht terī ab bhī nādānī nahīñ jaatī
na jaane kis kī zulfoñ kā nazārā kar liyā maiñ ne
ki mere dil kī uljhan aur pareshānī nahīñ jaatī
vo laayā jaam saaqī shaiḳh jī thoḌī sī pī bhī lo
ajī do-chār ghūñToñ se musalmānī nahīñ jaatī
jo dil detā hai 'shabbar' ā.īna-ruḳh husn vāloñ ko
samajh lo zindagī bhar us kī hairānī nahīñ jaatī
tere bimar-e-gham ki soz-o-samani nahin jati
ye aalam hai ki ab surat bhi pahchani nahin jati
dil-e-nadan ye kya zid hai ki khelunga hasinon mein
are kam-baKHt teri ab bhi nadani nahin jati
na jaane kis ki zulfon ka nazara kar liya main ne
ki mere dil ki uljhan aur pareshani nahin jati
wo laya jam saqi shaiKH ji thoDi si pi bhi lo
aji do-chaar ghunTon se musalmani nahin jati
jo dil deta hai 'shabbar' aaina-ruKH husn walon ko
samajh lo zindagi bhar us ki hairani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.