tere bimar ki shayad wida-e-jaan hai tan se
tire bīmār kī shāyad vidā-e-jān hai tan se
janāze kī vagarna vaañ hai tayyārī kā kyā baa.is
kahīñ vaqt-e-ḳhitāb ai yaar apne muñh se niklā thā
lagā kahne ki mujh meñ aap meñ yaarī kā kyā baa.is
marīz apne ko dekhā aah ḳhuuñ ālūda kyā kyā the
na thā gar dard dil meñ nāla-o-zārī kā kyā baa.is
nahīñ kuchh zor se letā koī dil do na do 'mamnūñ'
ye majbūrī kā kyā maujib ye nā-chārī kā kyā baa.is
mire siine meñ gar ātish-kada pinhāñ nahīñ zālim
fuġhān o aah se har dam sharar-bārī kā kyā baa.is
tasavvur chashm-e-ḳhūbāñ kā muqarrar tum ko rahtā hai
vagarna hazrat-e-dil itnī bīmārī kā kyā baa.is
huā jab kaam apnā kaam dil jab pūchhne aa.e
mujhe ġham khā chukā ab merī ġham-ḳhvārī kā kyā baa.is
ajab dīvāngī hai koī bhī yuuñ dil phañsātā hai
bahut daanā the tum 'mamnūñ' giraftārī kā kyā baa.is
tere bimar ki shayad wida-e-jaan hai tan se
janaze ki wagarna wan hai tayyari ka kya bais
kahin waqt-e-KHitab ai yar apne munh se nikla tha
laga kahne ki mujh mein aap mein yari ka kya bais
mariz apne ko dekha aah KHun aaluda kya kya the
na tha gar dard dil mein nala-o-zari ka kya bais
nahin kuchh zor se leta koi dil do na do 'mamnun'
ye majburi ka kya maujib ye na-chaari ka kya bais
mere sine mein gar aatish-kada pinhan nahin zalim
fughan o aah se har dam sharar-bari ka kya bais
tasawwur chashm-e-KHuban ka muqarrar tum ko rahta hai
wagarna hazrat-e-dil itni bimari ka kya bais
hua jab kaam apna kaam dil jab puchhne aae
mujhe gham kha chuka ab meri gham-KHwari ka kya bais
ajab diwangi hai koi bhi yun dil phansata hai
bahut dana the tum 'mamnun' giraftari ka kya bais
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.