tere dar ki himayat mil gai hai
tire dar kī himāyat mil ga.ī hai
mujhe merī zarūrat mil ga.ī hai
kahāñ pahuñchā.egī duniyā ko jaane
zihānat meñ jo vahshat mil ga.ī hai
bichhā jaatā hai bīmār-e-mohabbat
taḌapne kī ijāzat mil ga.ī hai
khanaktī chūḌiyāñ dekhī haiñ jab se
samā'at meñ basīrat mil ga.ī hai
maiñ baazī hārne vaalā huuñ shāyad
himāyat meñ hiqārat mil ga.ī hai
jise chhū bhī nahīñ saktā hai koī
hameñ us kī hifāzat mil ga.ī hai
zamāna ab alag kar ke dikhā.e
mohabbat meñ mohabbat mil ga.ī hai
tere dar ki himayat mil gai hai
mujhe meri zarurat mil gai hai
kahan pahunchaegi duniya ko jaane
zihanat mein jo wahshat mil gai hai
bichha jata hai bimar-e-mohabbat
taDapne ki ijazat mil gai hai
khanakti chuDiyan dekhi hain jab se
sama'at mein basirat mil gai hai
main bazi haarne wala hun shayad
himayat mein hiqarat mil gai hai
jise chhu bhi nahin sakta hai koi
hamein us ki hifazat mil gai hai
zamana ab alag kar ke dikhae
mohabbat mein mohabbat mil gai hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 65)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.