tere dayar talak yun to aa hi jate hain
tire dayār talak yuuñ to aa hī jaate haiñ
ye aur baat tasavvur meñ jī jalāte haiñ
mirī udaas nazar kā ḳhayāl hai varna
use to chāñd sitāre bahut bulāte haiñ
tamām umr bhaTakte rahe jo sahrā meñ
unheñ ye vahm ki vo rāsta dikhāte haiñ
sitam kī bhiik sahī dostoñ kā tohfa hai
baḌī ḳhushī se ye ehsān ham uThāte haiñ
hamārī nazroñ kī pākīzgī salāmat hai
isī kamāl pe duniyā ko ham jhukāte haiñ
ye karbalā hai to ab lauT kar kahāñ jaa.eñ
tamām rāste apne yahīñ pe aate haiñ
use jo mansab-o-jāh-o-jalāl pyārā hai
to ham bhī kāsa-e-tohmat kahāñ uThāte haiñ
tere dayar talak yun to aa hi jate hain
ye aur baat tasawwur mein ji jalate hain
meri udas nazar ka KHayal hai warna
use to chand sitare bahut bulate hain
tamam umr bhaTakte rahe jo sahra mein
unhen ye wahm ki wo rasta dikhate hain
sitam ki bhik sahi doston ka tohfa hai
baDi KHushi se ye ehsan hum uThate hain
hamari nazron ki pakizgi salamat hai
isi kamal pe duniya ko hum jhukate hain
ye karbala hai to ab lauT kar kahan jaen
tamam raste apne yahin pe aate hain
use jo mansab-o-jah-o-jalal pyara hai
to hum bhi kasa-e-tohmat kahan uThate hain
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 37)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.