tere dil ke raste mein mera ghar kahin nahin tha
tire dil ke rāste meñ mirā ghar kahīñ nahīñ thā
jo tujhe aziiz hotā vo hunar kahīñ nahīñ thā
tujhe DhūñDne nikalte kisī roz pā hī lete
magar in hatheliyoñ meñ vo safar kahīñ nahīñ thā
yuuñ to vaqt hai muqarrar kisī kaam kā magar kyuuñ
mirī ruuh shaad kartā vo gajar kahīñ nahīñ thā
na hī dil-navāz adā.eñ na hī shauq-e-jān-sozī
mire dil kā ye musāfir kahīñ dar-ba-dar nahīñ thā
maiñ huuñ ḳhush-gumān varna mujhe sochnā thā lāzim
mire jaane se ujaḌtā vo shahar kahīñ nahīñ thā
tere dil ke raste mein mera ghar kahin nahin tha
jo tujhe aziz hota wo hunar kahin nahin tha
tujhe DhunDne nikalte kisi roz pa hi lete
magar in hatheliyon mein wo safar kahin nahin tha
yun to waqt hai muqarrar kisi kaam ka magar kyun
meri ruh shad karta wo gajar kahin nahin tha
na hi dil-nawaz adaen na hi shauq-e-jaan-sozi
mere dil ka ye musafir kahin dar-ba-dar nahin tha
main hun KHush-guman warna mujhe sochna tha lazim
mere jaane se ujaDta wo shahar kahin nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.