tere dil mein bhi hain kuduraten tere lab pe bhi hain shikayaten
tere dil mein bhi hain kuduraten tere lab pe bhi hain shikayaten
Hafeez Jalandhari
MORE BYHafeez Jalandhari
tire dil meñ bhī haiñ kudūrateñ tire lab pe bhī haiñ shikāyateñ
mire dostoñ kī navāzisheñ mire dushmanoñ kī ināyateñ
ye hai turfa sūrat-e-dostī ki nigāh-e-dil hama barf haiñ
na vo baada hai na vo zarf haiñ na vo harf haiñ na hikāyateñ
yahī rabt-o-zabt-e-ġham-o-alam tirī raa.e meñ kabhī ḳhuub the
vo yahī to mere uyuub the jinheñ dī ga.ī thiiñ ri.āyateñ
tire āstāñ se kashāñ kashāñ liye jā rahī haiñ kahāñ kahāñ
mire nāsehoñ kī hidāyateñ tire vā.izoñ kī rivāyateñ
tirā naam lete hī ai ḳhudā maiñ sanam-kade se nikal chukā
raheñ kaash tā-dar-e-mustafā mirī rahnumā tirī āyateñ
tere dil mein bhi hain kuduraten tere lab pe bhi hain shikayaten
mere doston ki nawazishen mere dushmanon ki inayaten
ye hai turfa surat-e-dosti ki nigah-e-dil hama barf hain
na wo baada hai na wo zarf hain na wo harf hain na hikayaten
yahi rabt-o-zabt-e-gham-o-alam teri rae mein kabhi KHub the
wo yahi to mere uyub the jinhen di gai thin riayaten
tere aastan se kashan kashan liye ja rahi hain kahan kahan
mere nasehon ki hidayaten tere waizon ki riwayaten
tera nam lete hi ai KHuda main sanam-kade se nikal chuka
rahen kash ta-dar-e-mustafa meri rahnuma teri aayaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.