tere dil mein hai musawwir koi surat-e-dawami
tire dil meñ hai musavvir koī sūrat-e-davāmī
ki tamām naqsh ab tak haiñ shahīd-e-nā-tamāmī
maiñ kuchh aur pūchhtā kyā maiñ javāb pā chukā thā
ki payām de ke palTā to ḳhamosh thā payāmī
mujhe dekhnā hai us ko jo tirī galī se guzre
ba-qabā-e-pārsā.ī ba-libās-e-nek-nāmī
jo ba-chashm-e-nam laboñ par kisī ġham-zada ke aa.e
laraz us hañsī se zālim vo hañsī hai intiqāmī
koī auj-e-mushtarak ho koī manzar-e-musāvī
mirī boriyā-nashīnī na tirī buland-bāmī
vo kahāniyāñ sunā.ūñ jo sunī na hoñ kisī ne
magar ai 'shamīm' chup huuñ ki bhare to koī haamī
tere dil mein hai musawwir koi surat-e-dawami
ki tamam naqsh ab tak hain shahid-e-na-tamami
main kuchh aur puchhta kya main jawab pa chuka tha
ki payam de ke palTa to KHamosh tha payami
mujhe dekhna hai us ko jo teri gali se guzre
ba-qaba-e-parsai ba-libas-e-nek-nami
jo ba-chashm-e-nam labon par kisi gham-zada ke aae
laraz us hansi se zalim wo hansi hai intiqami
koi auj-e-mushtarak ho koi manzar-e-musawi
meri boriya-nashini na teri buland-baami
wo kahaniyan sunaun jo suni na hon kisi ne
magar ai 'shamim' chup hun ki bhare to koi hami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.