tere dil mein samana chahta hun
tire dil meñ samānā chāhtā huuñ
tujhe apnā banānā chāhtā huuñ
tirī āñkheñ haiñ yā koī samundar
maiñ in meñ Duub jaanā chāhtā huuñ
kabhī hoñToñ pe aa tū giit ban kar
maiñ tujh ko gungunānā chāhtā huuñ
tire nazdīk aanā hai so pahle
maiñ ḳhud se duur jaanā chāhtā huuñ
kabhī ḳhvāboñ se mere rū-ba-rū aa
tujhe dul.han banānā chāhtā huuñ
tū hai ki raat banñā chāhtī hai
maiñ tujh ko din banānā chāhtā huuñ
tū apne dil kī galiyoñ ko sajā le
maiñ in meñ ānā-jānā chāhtā huuñ
jise mumkin nahīñ ho joḌ paanā
maiñ itnā TuuT jaanā chāhtā huuñ
mujhe tū ishq meñ pāgal banā de
maiñ thoḌā muskurānā chāhtā huuñ
ye kuchh TuuTe diye haiñ paas mere
inheñ sūraj banānā chāhtā huuñ
hasīñ ik sher hai 'rizvān' vo koī
ġhazal us ko banānā chāhtā huuñ
tere dil mein samana chahta hun
tujhe apna banana chahta hun
teri aankhen hain ya koi samundar
main in mein Dub jaana chahta hun
kabhi honTon pe aa tu git ban kar
main tujh ko gungunana chahta hun
tere nazdik aana hai so pahle
main KHud se dur jaana chahta hun
kabhi KHwabon se mere ru-ba-ru aa
tujhe dulhan banana chahta hun
tu hai ki raat banna chahti hai
main tujh ko din banana chahta hun
tu apne dil ki galiyon ko saja le
main in mein aana-jaana chahta hun
jise mumkin nahin ho joD pana
main itna TuT jaana chahta hun
mujhe tu ishq mein pagal bana de
main thoDa muskurana chahta hun
ye kuchh TuTe diye hain pas mere
inhen suraj banana chahta hun
hasin ek sher hai 'rizwan' wo koi
ghazal us ko banana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.