tere dimagh mein bachpan ki lash thoDi hai
tire dimāġh meñ bachpan kī laash thoḌī hai
mirī tarah tujhe fikr-e-ma.āsh thoḌī hai
hamāre haañ to nahīñ chaltā hukm kā ikkā
hamārā khel mohabbat hai taash thoḌī hai
jahāñ se chāhā uThā kar chakhā rakhā vāpas
shu.ūr-e-zāt kisī phal kī qaash thoḌī hai
chhupānā paḌtā hai dil kā mo.āmla aksar
akele milte haiñ ye raaz faash thoḌī hai
'sabā' kisī ke liye dar-ba-dar nahīñ rahtī
ḳhudā.ī ko bhī ḳhudā kī talāsh thoḌī hai
tere dimagh mein bachpan ki lash thoDi hai
meri tarah tujhe fikr-e-maash thoDi hai
hamare han to nahin chalta hukm ka ikka
hamara khel mohabbat hai tash thoDi hai
jahan se chaha uTha kar chakha rakha wapas
shuur-e-zat kisi phal ki qash thoDi hai
chhupana paDta hai dil ka moamla aksar
akele milte hain ye raaz fash thoDi hai
'saba' kisi ke liye dar-ba-dar nahin rahti
KHudai ko bhi KHuda ki talash thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.