tere ehsas ko chhu kar laga hai
tire ehsās ko chhū kar lagā hai
tū mere paas hai aksar lagā hai
havā.eñ tak mo'attar haiñ vahāñ kī
jahāñ bhī 'ishq kā mimbar lagā hai
qarār aa.egā mere jism ko ab
mirā kāñToñ-bharā bistar lagā hai
miTā Daalā ḳhud apne aap ko tab
mohabbat meñ mirā number lagā hai
ahāta kar nahīñ paayā maiñ us kā
vo merī soch ke bāhar lagā hai
du'ā.eñ bāñTtā hai har kisī ko
shahanshāhoñ se vo baḌh kar lagā hai
'adīb' aa jaa.e na ḳhushiyoñ kā sūraj
shab-e-ġham ko isī kā Dar lagā hai
tere ehsas ko chhu kar laga hai
tu mere pas hai aksar laga hai
hawaen tak mo'attar hain wahan ki
jahan bhi 'ishq ka mimbar laga hai
qarar aaega mere jism ko ab
mera kanTon-bhara bistar laga hai
miTa Dala KHud apne aap ko tab
mohabbat mein mera number laga hai
ahata kar nahin paya main us ka
wo meri soch ke bahar laga hai
du'aen banTta hai har kisi ko
shahanshahon se wo baDh kar laga hai
'adib' aa jae na KHushiyon ka suraj
shab-e-gham ko isi ka Dar laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.