tere fareb mein duniya main aane wala nahin
tire fareb meñ duniyā maiñ aane vaalā nahīñ
so dhyān terī taraf merā jaane vaalā nahīñ
maiñ muntazir huuñ kisī shoḳh-rang lamhe kā
mujhe pata hai ki lamha vo aane vaalā nahīñ
mujhe farishtoñ kī sohbat meñ bas yahī ġham hai
ki in meñ koī mirā dil dukhāne vaalā nahīñ
kiyā hai dafn use dil kī qabr meñ maiñ ne
vo naam ab mire hoñToñ pe aane vaalā nahīñ
havā zamāne kī tum ko na raas aa.egī
tumhārā rang mirī jaañ zamāne vaalā nahīñ
ajiib logoñ kī bastī hai ye 'vasīm' yahāñ
kisī kā bojh koī bhī uThāne vaalā nahīñ
tere fareb mein duniya main aane wala nahin
so dhyan teri taraf mera jaane wala nahin
main muntazir hun kisi shoKH-rang lamhe ka
mujhe pata hai ki lamha wo aane wala nahin
mujhe farishton ki sohbat mein bas yahi gham hai
ki in mein koi mera dil dukhane wala nahin
kiya hai dafn use dil ki qabr mein main ne
wo nam ab mere honTon pe aane wala nahin
hawa zamane ki tum ko na ras aaegi
tumhaara rang meri jaan zamane wala nahin
ajib logon ki basti hai ye 'wasim' yahan
kisi ka bojh koi bhi uThane wala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.