tere gawah ne kaisa bayan rakkha hai
tire gavāh ne kaisā bayān rakkhā hai
kahā hai jhuuT magar sach kā dhyān rakkhā hai
pata lagāo ki vo ḳhud ko kyā samajhtā hai
jahān-bhar ne ḳhudā jis ko maan rakkhā hai
na jaane kab kisī ke vāste dhḌaknā ho
so dil ne ḳhud ko abhī tak javān rakkhā hai
zabāñ pe aatī huī dil kī baat se Dar kar
kisī ne muñh meñ achānak se paan rakkhā hai
ḳhudā ke paas izāfī thā fāsla jitnā
vo us ne tere mire darmiyān rakkhā hai
jo kāTtā hai use dī zabān lambī sī
jo kaT rahā hai use be-zabān rakkhā hai
sunoge baat to tum sab kī dhyān se 'shekhar'
karoge tum vahī jo tum ne Thaan rakkhā hai
tere gawah ne kaisa bayan rakkha hai
kaha hai jhuT magar sach ka dhyan rakkha hai
pata lagao ki wo KHud ko kya samajhta hai
jahan-bhar ne KHuda jis ko man rakkha hai
na jaane kab kisi ke waste dhDakna ho
so dil ne KHud ko abhi tak jawan rakkha hai
zaban pe aati hui dil ki baat se Dar kar
kisi ne munh mein achanak se pan rakkha hai
KHuda ke pas izafi tha fasla jitna
wo us ne tere mere darmiyan rakkha hai
jo kaTta hai use di zaban lambi si
jo kaT raha hai use be-zaban rakkha hai
sunoge baat to tum sab ki dhyan se 'shekhar'
karoge tum wahi jo tum ne Than rakkha hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.