tere hi ghar se uThe teri rah se guzre
tire hī ghar se uThe terī raah se guzre
vo hādsāt jo merī nigāh se guzre
mujhe ḳhabar nahīñ kis tarah koī jiitā hai
ye un se pūchh jo hāl-e-tabāh se guzre
jo mere haal pe hañstā hai dekh kar mujh ko
ḳhudā kare vo tirī jalva-gāh se guzre
jise yaqīñ nahīñ aatā mirī vafāoñ kā
vo ek din to mohabbat kī raah se guzre
zamāna ro.egā sun sun ke dāstāñ un kī
jo inqalāb ki merī nigāh se guzre
vo dekh saktā hai jalvoñ kā tere ā.īna
jo mere dil se jo merī nigāh se guzre
tere hi ghar se uThe teri rah se guzre
wo hadsat jo meri nigah se guzre
mujhe KHabar nahin kis tarah koi jita hai
ye un se puchh jo haal-e-tabah se guzre
jo mere haal pe hansta hai dekh kar mujh ko
KHuda kare wo teri jalwa-gah se guzre
jise yaqin nahin aata meri wafaon ka
wo ek din to mohabbat ki rah se guzre
zamana roega sun sun ke dastan un ki
jo inqalab ki meri nigah se guzre
wo dekh sakta hai jalwon ka tere aaina
jo mere dil se jo meri nigah se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.