tere hi rahm-o-karam pe zinda tujhi se ghafil the umr bhar hum
tere hi rahm-o-karam pe zinda tujhi se ghafil the umr bhar hum
Zyesha Usmaan
MORE BYZyesha Usmaan
tire hī rahm-o-karam pe zinda tujhī se ġhāfil the 'umr bhar ham
hamīñ ne yā-rab ye rah chunī thī to kyoñ na hote yuuñ dar-ba-dar ham
jahāñ ne Thukrā diyā ho jis ko vo phir bhalā kis ke dar pe jaate
tirī hī jānib thā lauT aanā so aa ga.e haiñ jhukā.e sar ham
jo yaad aa.iiñ ḳhatā.eñ apnī qusūr apne gunāh apne
jabīñ nadāmat se jhuk ga.ī hai hue haiñ ashkoñ se tar-ba-tar ham
na ham ko fariyād kā salīqa na iltijā kā shu'ūr maulā
tū apne mañgtoñ kī laaj rakh le haiñ sar-ba-sajda is aas par ham
tere hi rahm-o-karam pe zinda tujhi se ghafil the 'umr bhar hum
hamin ne ya-rab ye rah chuni thi to kyon na hote yun dar-ba-dar hum
jahan ne Thukra diya ho jis ko wo phir bhala kis ke dar pe jate
teri hi jaanib tha lauT aana so aa gae hain jhukae sar hum
jo yaad aain KHataen apni qusur apne gunah apne
jabin nadamat se jhuk gai hai hue hain ashkon se tar-ba-tar hum
na hum ko fariyaad ka saliqa na iltija ka shu'ur maula
tu apne mangton ki laj rakh le hain sar-ba-sajda is aas par hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.