tere huzur agar mujh mein aajizi na rahe
tire huzūr agar mujh meñ ājizī na rahe
maiñ ro paḌūñ mire hoñToñ pe ye hañsī na rahe
the aap paas to phir bhī thā ḳhālī-pan koī
aur āj-kal to mire paas aap bhī na rahe
ḳhushī kī rut meñ koī hañsne vaalā mil na sakā
hamārī maut ke mauqe pe mātamī na rahe
mire ḳhayāl meñ mahshar kī ik alāmat hai
qalam kā qaht paḌe ghar meñ Diary na rahe
kuchh aise rañg se tartīb de zamāne ko
ḳhushī rivāj ho iḳhlās kī kamī na rahe
vabā kā ḳhauf hai aisā ki ḳhāna-e-rab meñ
parinde dekhe ga.e aur aadmī na rahe
tumhārā mujh se bichhaḌnā bhī aise hai 'abdul'
ki jaise qaht ke mausam meñ naukrī na rahe
tere huzur agar mujh mein aajizi na rahe
main ro paDun mere honTon pe ye hansi na rahe
the aap pas to phir bhi tha KHali-pan koi
aur aaj-kal to mere pas aap bhi na rahe
KHushi ki rut mein koi hansne wala mil na saka
hamari maut ke mauqe pe matami na rahe
mere KHayal mein mahshar ki ek alamat hai
qalam ka qaht paDe ghar mein Diary na rahe
kuchh aise rang se tartib de zamane ko
KHushi riwaj ho iKHlas ki kami na rahe
waba ka KHauf hai aisa ki KHana-e-rab mein
parinde dekhe gae aur aadmi na rahe
tumhaara mujh se bichhaDna bhi aise hai 'abdul'
ki jaise qaht ke mausam mein naukri na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.