tere huzur jo do-chaar din guzar aaya
tire huzūr jo do-chār din guzār aayā
vo faiz-yāb huā āqibat sañvār aayā
nasīb vaale haiñ va.ade vafā hue jin ke
hamāre naam jo aayā to intizār aayā
chalā to chaltā gayā ik junūn manzil meñ
agarche rāsta pur-sañg-o-ḳhār-dār aayā
maiñ aaj aayā huuñ ḳhaas aap ke bulāve par
agarche bazm meñ pahle bhī baar baar aayā
mirā chaman rahā sadiyoñ se amn kā mehvar
ye kaun aayā ki har samt intishār aayā
hamāre ghar hī na aayā to phir balā se mirī
hazār baar agar mausam-e-bahār aayā
chhuḌā ke haath gayā 'nazr'-e-gul ke mausam meñ
kalī ko ThanD lagī pūchhne ko ḳhaar aayā
tere huzur jo do-chaar din guzar aaya
wo faiz-yab hua aaqibat sanwar aaya
nasib wale hain wade wafa hue jin ke
hamare nam jo aaya to intizar aaya
chala to chalta gaya ek junun manzil mein
agarche rasta pur-sang-o-KHar-dar aaya
main aaj aaya hun KHas aap ke bulawe par
agarche bazm mein pahle bhi bar bar aaya
mera chaman raha sadiyon se amn ka mehwar
ye kaun aaya ki har samt intishaar aaya
hamare ghar hi na aaya to phir bala se meri
hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya
chhuDa ke hath gaya 'nazr'-e-gul ke mausam mein
kali ko ThanD lagi puchhne ko KHar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.