tere huzur na Khaali kisi ka jam raha
tere huzur na Khaali kisi ka jam raha
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
tire huzūr na ḳhālī kisī kā jaam rahā
vo ḳhush-nasīb to maiñ huuñ ki tishna-kām rahā
alam-nasīb rahā aur talḳh-kām rahā
magar fareb-e-mohabbat kā ehtirām rahā
sharāb-e-ishq se labrez jis kā jaam rahā
vo zindagī kī tag-o-dau meñ shād-kām rahā
mazāq-e-dīd sar-e-tūr tishna-kām rahā
tamām ho ke ye afsāna nā-tamām rahā
na sub.h-e-nūr kā jalva na kaif-e-shām rahā
balā-nasīb chaman meñ bhī zer-e-dām rahā
mujhe na dījiye ta.ane ki saḳht-jān huuñ maiñ
ye zindagī hai ki jiinā mujhe harām rahā
na raas aa.egī ai bāġhbāñ bahār ise
agar chaman kā yahī ruḳh yahī nizām rahā
samajh sakegā mire zarf-e-bāda-ḳhvārī ko
jo mai-kade meñ kabhī shaiḳh kā qiyām rahā
ḳhud apne dil meñ tajallī ko pā liyā ham ne
kalīm-e-tūr se afzal to ye maqām rahā
vafā-shi.ār nahīñ ham magar qusūr muaaf
vo kaun hai sar-e-fihrist jis kā naam rahā
tere huzur na KHali kisi ka jam raha
wo KHush-nasib to main hun ki tishna-kaam raha
alam-nasib raha aur talKH-kaam raha
magar fareb-e-mohabbat ka ehtiram raha
sharab-e-ishq se labrez jis ka jam raha
wo zindagi ki tag-o-dau mein shad-kaam raha
mazaq-e-did sar-e-tur tishna-kaam raha
tamam ho ke ye afsana na-tamam raha
na subh-e-nur ka jalwa na kaif-e-sham raha
bala-nasib chaman mein bhi zer-e-dam raha
mujhe na dijiye tane ki saKHt-jaan hun main
ye zindagi hai ki jina mujhe haram raha
na ras aaegi ai baghban bahaar ise
agar chaman ka yahi ruKH yahi nizam raha
samajh sakega mere zarf-e-baada-KHwari ko
jo mai-kade mein kabhi shaiKH ka qiyam raha
KHud apne dil mein tajalli ko pa liya hum ne
kalim-e-tur se afzal to ye maqam raha
wafa-shiar nahin hum magar qusur muaf
wo kaun hai sar-e-fihrist jis ka nam raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.