tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen
tire ishāra-e-abrū kā ehtirām kareñ
vajūd apnā sambhāleñ ki terā kaam kareñ
javāb de to mazā bhī mile savāloñ kā
vo aa.ina hai to phir kis tarah kalām kareñ
thakan se aañkh jhapakne lagī hai sonā hai
tujhe junūn-e-safar āḳhirī salām kareñ
bahut se kaam haiñ duniyā meñ aadmī ke liye
kisī ke vāste kyuuñ zindagī harām kareñ
ibādatoñ ke maze ḳhaas log hī lūTeñ
rivāj-e-shirk-e-mohabbat jahāñ meñ aam kareñ
ḳhatā ke hote zamān-o-makāñ kī qaid ġhalat
na.ī fazā na.ī duniyā kā intizām kareñ
laveñ charāġhoñ kī āñkhoñ meñ gum huiiñ shāyad
kahīñ se raushnī laa.eñ to fikr-e-shām kareñ
jidhar bhī jā.iye shorish-zada ilāqa hai
kahīñ bhī jā-e-amāñ hai jahāñ qayām kareñ
tamām qatra-e-shabnam hoñ qumqume jaise
nashāt rañg savere kā ehtirām kareñ
bujhe charāġhoñ meñ kaise ho nuur kī tarsīl
na ho ye fikr to phir intizār-e-shām kareñ
har aadmī ko yahāñ da.avā-e-ḳhudā.ī hai
akelī jaan hai kis kis kā ehtirām kareñ
tumheñ hai sar kī zarūrat hameñ shahādat kī
tum apnā kaam sambhālo ham apnā kaam kareñ
na fan-shanās hai koī na sher-fahm koī
kise kalām sunā.eñ kahāñ kalām kareñ
tumhārā ġham bhī hai ai 'ramz' apne ġham jaisā
matā.a-e-mushtarka ye ġhazal ke naam kareñ
tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen
wajud apna sambhaalen ki tera kaam karen
jawab de to maza bhi mile sawalon ka
wo aaina hai to phir kis tarah kalam karen
thakan se aankh jhapakne lagi hai sona hai
tujhe junun-e-safar aaKHiri salam karen
bahut se kaam hain duniya mein aadmi ke liye
kisi ke waste kyun zindagi haram karen
ibaadaton ke maze KHas log hi luTen
riwaj-e-shirk-e-mohabbat jahan mein aam karen
KHata ke hote zaman-o-makan ki qaid ghalat
nai faza nai duniya ka intizam karen
lawen charaghon ki aankhon mein gum huin shayad
kahin se raushni laen to fikr-e-sham karen
jidhar bhi jaiye shorish-zada ilaqa hai
kahin bhi ja-e-aman hai jahan qayam karen
tamam qatra-e-shabnam hon qumqume jaise
nashat rang sawere ka ehtiram karen
bujhe charaghon mein kaise ho nur ki tarsil
na ho ye fikr to phir intizar-e-sham karen
har aadmi ko yahan dawa-e-KHudai hai
akeli jaan hai kis kis ka ehtiram karen
tumhein hai sar ki zarurat hamein shahadat ki
tum apna kaam sambhaalo hum apna kaam karen
na fan-shanas hai koi na sher-fahm koi
kise kalam sunaen kahan kalam karen
tumhaara gham bhi hai ai 'ramz' apne gham jaisa
mataa-e-mushtarka ye ghazal ke nam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.