tere ishq ne diya hai wo maqam-e-KHusrawana
tire ishq ne diyā hai vo maqām-e-ḳhusravāna
hai jahāñ junūñ haqīqat hai jahāñ ḳhirad fasāna
ye hanūz kah rahā hai sar-e-rāh ik divāna
koī jā ke un se kah de mirī arz-e-ḳhādimāna
vo rafū nazar se karnā mirī chāk-dāmanī ko
tirī aañkh ko milā hai ye hunar rafū-garāna
ye falak ke chāñd taare haiñ bujhe bujhe se saare
maiñ sunā rahā huuñ in ko shab-e-hijr kā fasāna
ye jabīñ machal rahī hai ki taḌap rahe haiñ sajde
mujhe kar rahī hai kāfir tirī chashm-e-qātilāna
tere ishq ne diya hai wo maqam-e-KHusrawana
hai jahan junun haqiqat hai jahan KHirad fasana
ye hanuz kah raha hai sar-e-rah ek diwana
koi ja ke un se kah de meri arz-e-KHadimana
wo rafu nazar se karna meri chaak-damani ko
teri aankh ko mila hai ye hunar rafu-garana
ye falak ke chand tare hain bujhe bujhe se sare
main suna raha hun in ko shab-e-hijr ka fasana
ye jabin machal rahi hai ki taDap rahe hain sajde
mujhe kar rahi hai kafir teri chashm-e-qatilana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.