tere jab rang rangte hain to phir hum raqs karte hain
tire jab rang rañgte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
mujassam tujh meñ Dhalte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
chhanā chhan-chhan chhanā chhan-chhan ye ghuñghrū se jo man āñgan
tirī yādoñ ke bajte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
azīz-e-jāñ tire ġham meñ sitāre jo shab-e-hijrāñ
sar-e-mizhgāñ chamakte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
kisī Dhaltī huī shab meñ junūñ vahshat diyā aur maiñ
badan se jab nikalte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
bahut chup-chāp sahte haiñ aziyyat ham judā.ī kī
magar had se guzarte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
mohabbat ke qabīloñ se nikal kar ye junūñ-zāde
ḳhirad se jab ulajhte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
nigāheñ kab uThāte haiñ tirī mahfil meñ ham lekin
jo mahfil se nikalte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
ġhubār-e-rāh ban kar jo tire dīvāne ham pāgal
tujhe chhū kar guzarte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
sar-e-dasht-e-talab hasrat tirī aur bebasī merī
kabhī bāham jo milte haiñ to phir ham raqs karte haiñ
ye bulle-shah batāte haiñ na maane yaar jab 'jīnā'
tabhī ghuñghrū pahante haiñ to phir ham raqs karte haiñ
tere jab rang rangte hain to phir hum raqs karte hain
mujassam tujh mein Dhalte hain to phir hum raqs karte hain
chhana chhan-chhan chhana chhan-chhan ye ghunghru se jo man aangan
teri yaadon ke bajte hain to phir hum raqs karte hain
aziz-e-jaan tere gham mein sitare jo shab-e-hijran
sar-e-mizhgan chamakte hain to phir hum raqs karte hain
kisi Dhalti hui shab mein junun wahshat diya aur main
badan se jab nikalte hain to phir hum raqs karte hain
bahut chup-chap sahte hain aziyyat hum judai ki
magar had se guzarte hain to phir hum raqs karte hain
mohabbat ke qabilon se nikal kar ye junun-zade
KHirad se jab ulajhte hain to phir hum raqs karte hain
nigahen kab uThate hain teri mahfil mein hum lekin
jo mahfil se nikalte hain to phir hum raqs karte hain
ghubar-e-rah ban kar jo tere diwane hum pagal
tujhe chhu kar guzarte hain to phir hum raqs karte hain
sar-e-dasht-e-talab hasrat teri aur bebasi meri
kabhi baham jo milte hain to phir hum raqs karte hain
ye bulle-shah batate hain na mane yar jab 'jina'
tabhi ghunghru pahante hain to phir hum raqs karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.