tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar
tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
tire jalvoñ ne sīkhā hai nazar kā pāsbāñ ho kar
'ayāñ honā nihāñ ho kar nihāñ honā 'ayāñ ho kar
ta'ajjub hai nasīb-e-‘ishq kī rūh-e-ravāñ ho kar
vo kyoñ zulmat pe haavī haiñ nigāhoñ se nihāñ ho kar
agar sayyād ne dekhā kabhī kuchh mehrbāñ ho kar
tamanna rah ga.ī taktī nasīb-e-dushmanāñ ho kar
sitam Dhāne lagī jab aarzū dil kī javāñ ho kar
rahī āThoñ pahar vahshat mohabbat kī ‘ināñ ho kar
butān-e-sho'la-rū kī sehr-sāmānī kā kyā kahnā
ḳhudā.ī kar rahe haiñ jān-e-musht-e-ustuḳhvāñ ho kar
tasavvur meñ liye baiThe haiñ jalvoñ kī amānat ko
nazar sab kī zamīñ par aa ga.ī hai āsmāñ ho kar
nazar kā said ho jaanā qarīn-e-‘aql thā lekin
ḳhabar kyā thī ki dil rah jā.egā nazr-e-butāñ ho kar
musalsal bevafā.ī par to ik 'ālam hai shaidā.ī
nahīñ un kī na jaane kyā ġhazab Dhā.egī haañ ho kar
bahar-sūrat matā'-e-'shād' hai nairangī-e-'ālam
ḳhizāñ chhā.ī bahār ho kar bahār aa.ī ḳhizāñ ho kar
tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar
'ayan hona nihan ho kar nihan hona 'ayan ho kar
ta'ajjub hai nasib-e-‘ishq ki ruh-e-rawan ho kar
wo kyon zulmat pe hawi hain nigahon se nihan ho kar
agar sayyaad ne dekha kabhi kuchh mehrban ho kar
tamanna rah gai takti nasib-e-dushmanan ho kar
sitam Dhane lagi jab aarzu dil ki jawan ho kar
rahi aaThon pahar wahshat mohabbat ki ‘inan ho kar
butan-e-sho'la-ru ki sehr-samani ka kya kahna
KHudai kar rahe hain jaan-e-musht-e-ustuKHwan ho kar
tasawwur mein liye baiThe hain jalwon ki amanat ko
nazar sab ki zamin par aa gai hai aasman ho kar
nazar ka said ho jaana qarin-e-‘aql tha lekin
KHabar kya thi ki dil rah jaega nazr-e-butan ho kar
musalsal bewafai par to ek 'alam hai shaidai
nahin un ki na jaane kya ghazab Dhaegi han ho kar
bahar-surat mata'-e-'shad' hai nairangi-e-'alam
KHizan chhai bahaar ho kar bahaar aai KHizan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.