tere junun-e-mohabbat ka kaun mahram hai
tire junūn-e-mohabbat kā kaun mahram hai
abhī ḳhirad ke charāġhoñ meñ raushnī kam hai
taġhayyurāt kā markaz agarche aalam hai
na husn kam hai kahīñ se na dilkashī kam hai
na zindagī kī havas hai na maut kā ġham hai
tire firāq kā aalam ajiib aalam hai
ḳhudī kahāñ ki mohabbat meñ ab ye aalam hai
nahīñ hai qurb-e-dar-e-dost phir bhī sar ḳham hai
ye iztirāb ye tanhā.iyāñ ye soz-o-gudāz
shabāb ālam-e-tiflī kī shām-e-mātam hai
kise ye fikr hai 'nayyar' vafūr-e-mastī meñ
sharāb shīshe meñ kam hai ki zindagī kam hai
tere junun-e-mohabbat ka kaun mahram hai
abhi KHirad ke charaghon mein raushni kam hai
taghayyuraat ka markaz agarche aalam hai
na husn kam hai kahin se na dilkashi kam hai
na zindagi ki hawas hai na maut ka gham hai
tere firaq ka aalam ajib aalam hai
KHudi kahan ki mohabbat mein ab ye aalam hai
nahin hai qurb-e-dar-e-dost phir bhi sar KHam hai
ye iztirab ye tanhaiyan ye soz-o-gudaz
shabab aalam-e-tifli ki sham-e-matam hai
kise ye fikr hai 'nayyar' wafur-e-masti mein
sharab shishe mein kam hai ki zindagi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.