tere junun mein sahe jaan par sitam kya kya
tire junūñ meñ sahe jaan par sitam kyā kyā
ki maiñ ne dekhe zamāne ke pech-o-ḳham kyā kyā
tire qarīb na aatā agar ḳhabar hotī
ki qurbatoñ meñ bhī poshīda haiñ alam kyā kyā
bichhaḌ ke tujh se bahut duur maiñ chalā aaya
uThā.e phirtā huuñ phir bhī maiñ tere ġham kyā kyā
tū jāntā hī nahīñ kyā hai ye mohabbat bhī
rah-e-vafā meñ uThā.e haiñ dukh sanam kyā kyā
har ek haal meñ 'shahzād' maiñ karūñgā vafā
balā se raah meñ ā.eñge zer-o-bam kyā kyā
tere junun mein sahe jaan par sitam kya kya
ki main ne dekhe zamane ke pech-o-KHam kya kya
tere qarib na aata agar KHabar hoti
ki qurbaton mein bhi poshida hain alam kya kya
bichhaD ke tujh se bahut dur main chala aaya
uThae phirta hun phir bhi main tere gham kya kya
tu jaanta hi nahin kya hai ye mohabbat bhi
rah-e-wafa mein uThae hain dukh sanam kya kya
har ek haal mein 'shahzad' main karunga wafa
bala se rah mein aaenge zer-o-bam kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.