tere karam ke sahaare kashid karta tha
tire karam ke sahāre kashīd kartā thā
maiñ kashtiyoñ ko kināre kashīd kartā thā
duā-ba-dast yatīmoñ kī laaj rakhne ko
vo āsmān se taare kashīd kartā thā
bil-āḳhirash vo mujhe ḳhuld meñ nazar aaya
maiñ naqsh-e-pā ke nazāre kashīd kartā thā
shikasta-pā thā magar pyaas thī so apnī samt
maiñ ābshār ke dhāre kashīd kartā thā
mujhe duā-e-shifā yaad thī so merā dil
jo dil the dard ke maare kashīd kartā thā
musavvirān mī ḳhvāhañd bai'at-e-yad-e-man
tire nuqūsh maiñ saare kashīd kartā thā
ajiib sahrā thā kartā thā aable ījād
phir un pe paañv hamāre kashīd kartā thā
tere karam ke sahaare kashid karta tha
main kashtiyon ko kinare kashid karta tha
dua-ba-dast yatimon ki laj rakhne ko
wo aasman se tare kashid karta tha
bil-aKHirash wo mujhe KHuld mein nazar aaya
main naqsh-e-pa ke nazare kashid karta tha
shikasta-pa tha magar pyas thi so apni samt
main aabshaar ke dhaare kashid karta tha
mujhe dua-e-shifa yaad thi so mera dil
jo dil the dard ke mare kashid karta tha
musawviran mi KHwahand bai'at-e-yad-e-man
tere nuqush main sare kashid karta tha
ajib sahra tha karta tha aable ijad
phir un pe panw hamare kashid karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.