tere karam ko teri be-ruKHi ko dekha hai
tire karam ko tirī be-ruḳhī ko dekhā hai
milī hai maut kabhī zindagī ko dekhā hai
vo jis meñ duub ke rah jaa.e chaḌhtā sūraj bhī
rah-e-hayāt meñ us tīrgī ko dekhā hai
sivā.e ruuh kī ik tishnagī ke kuchh na milā
bahut qarīb se jab zindagī ko dekhā hai
na jaane kitne diye bujh ga.e haiñ tab jā kar
na.ī sahar ko na.ī raushnī ko dekhā hai
kabhī kisī kī vafāoñ pe shak nahīñ kartā
vo shaḳhs jis ne mirī bebasī ko dekhā hai
ye dair hai vo haram is se kyā ġharaz mujh ko
har ek ruup meñ maiñ ne usī ko dekhā hai
kabhī kisī kī bhī bechārgī pe mat hañsiye
ye vo maqām hai jis par sabhī ko dekhā hai
ham āshnā haiñ nazākat se vaqt kī 'gulshan'
ki ham ne chaḌhtī utartī nadī ko dekhā hai
tere karam ko teri be-ruKHi ko dekha hai
mili hai maut kabhi zindagi ko dekha hai
wo jis mein dub ke rah jae chaDhta suraj bhi
rah-e-hayat mein us tirgi ko dekha hai
siwae ruh ki ek tishnagi ke kuchh na mila
bahut qarib se jab zindagi ko dekha hai
na jaane kitne diye bujh gae hain tab ja kar
nai sahar ko nai raushni ko dekha hai
kabhi kisi ki wafaon pe shak nahin karta
wo shaKHs jis ne meri bebasi ko dekha hai
ye dair hai wo haram is se kya gharaz mujh ko
har ek rup mein main ne usi ko dekha hai
kabhi kisi ki bhi bechaargi pe mat hansiye
ye wo maqam hai jis par sabhi ko dekha hai
hum aashna hain nazakat se waqt ki 'gulshan'
ki hum ne chaDhti utarti nadi ko dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.