tere KHayal ka nashsha utarta jata hai
tire ḳhayāl kā nashsha utartā jaatā hai
Thahar Thahar ke koī pal guzartā jaatā hai
bikhartī hai mire chehre pe jitnī pīlāhaT
ai zindagī tirā chehra nikhartā jaatā hai
zamīñ ko bhuuk lagī phir kisī tamaddun kī
ye kaun zīna-e-ibrat utartā jaatā hai
batā rahī hai thakan tere zard lahje kī
tire lahū meñ koī ḳhvāb martā jaatā hai
jise sajānā thā armān us kī zulfoñ meñ
vo phuul us kī talab meñ bikhartā jaatā hai
tere KHayal ka nashsha utarta jata hai
Thahar Thahar ke koi pal guzarta jata hai
bikharti hai mere chehre pe jitni pilahaT
ai zindagi tera chehra nikharta jata hai
zamin ko bhuk lagi phir kisi tamaddun ki
ye kaun zina-e-ibrat utarta jata hai
bata rahi hai thakan tere zard lahje ki
tere lahu mein koi KHwab marta jata hai
jise sajaana tha arman us ki zulfon mein
wo phul us ki talab mein bikharta jata hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 405)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.