tere KHayal ke aaine mein utar rahe hain
tire ḳhayāl ke ā.īne meñ utar rahe haiñ
tujhe ḳhabar hai nayā rañg tujh meñ bhar rahe haiñ
simaT rahe haiñ kabhī apne hosh ke andar
gubār-e-vahm kī sūrat kabhī bikhar rahe haiñ
ye haal hai ki nahīñ kuchh bhī hai ḳhabar apnī
magar ye zo.am ki taz.īn-e-zāt kar rahe haiñ
na jal ke raakh hue haiñ na aag bhaḌkī hai
na pūchh kaise marāhil se ham guzar rahe haiñ
khule haiñ rāz-e-nihāñ raat dil pe kuchh aise
ki bolne meñ bhī ab ehtiyāt kar rahe haiñ
havā meñ zahr kī yuuñ ho ga.ī hai āmezish
ki saañs lete hue bhī havā meñ Dar rahe haiñ
ġhalat ki tujh ko ḳhayāloñ meñ bāñdh rakkhā hai
ye baat sach hai ki ham tujh se be-ḳhabar rahe haiñ
ye intizār abhī ḳhatm hone vaalā nahīñ
ḳhabar kisī ne ye dī hai ki vo sañvar rahe haiñ
qubūl apnī duā bhī nahīñ huī 'yāvar'
yahī nahīñ mire naale bhī be-asar rahe haiñ
tere KHayal ke aaine mein utar rahe hain
tujhe KHabar hai naya rang tujh mein bhar rahe hain
simaT rahe hain kabhi apne hosh ke andar
gubar-e-wahm ki surat kabhi bikhar rahe hain
ye haal hai ki nahin kuchh bhi hai KHabar apni
magar ye zoam ki tazin-e-zat kar rahe hain
na jal ke rakh hue hain na aag bhaDki hai
na puchh kaise marahil se hum guzar rahe hain
khule hain raaz-e-nihan raat dil pe kuchh aise
ki bolne mein bhi ab ehtiyat kar rahe hain
hawa mein zahr ki yun ho gai hai aamezish
ki sans lete hue bhi hawa mein Dar rahe hain
ghalat ki tujh ko KHayalon mein bandh rakkha hai
ye baat sach hai ki hum tujh se be-KHabar rahe hain
ye intizar abhi KHatm hone wala nahin
KHabar kisi ne ye di hai ki wo sanwar rahe hain
qubul apni dua bhi nahin hui 'yawar'
yahi nahin mere nale bhi be-asar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.