tere KHayal ke baadal utar ke aae hain
tire ḳhayāl ke bādal utar ke aa.e haiñ
tabhī to ye mire aañsū ubhar ke aa.e haiñ
na.ī rutoñ meñ khile gul to ye huā mahsūs
purāne dard nayā bhes dhar ke aa.e haiñ
hamārī āñkhoñ meñ kuchh der Duub kar dekho
tumhāre ḳhvāb yahīñ se guzar ke aa.e haiñ
zarūrī bazm se uThnā huā to uTh aa.e
ta.alluqāt kahāñ tark kar ke aa.e haiñ
ye sarhadeñ kahāñ hotī haiñ har kisī ke liye
idhar barasne ko bādal udhar ke aa.e haiñ
akele jā ke bhī lauTe nahīñ akele ham
hamāre saath manāzir safar ke aa.e haiñ
tere KHayal ke baadal utar ke aae hain
tabhi to ye mere aansu ubhar ke aae hain
nai ruton mein khile gul to ye hua mahsus
purane dard naya bhes dhar ke aae hain
hamari aankhon mein kuchh der Dub kar dekho
tumhaare KHwab yahin se guzar ke aae hain
zaruri bazm se uThna hua to uTh aae
talluqat kahan tark kar ke aae hain
ye sarhaden kahan hoti hain har kisi ke liye
idhar barasne ko baadal udhar ke aae hain
akele ja ke bhi lauTe nahin akele hum
hamare sath manazir safar ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.