tere KHayal ke phulon se rang-o-bu nikle
tire ḳhayāl ke phūloñ se rang-o-bū nikle
jo tū nahīñ hai to phir terī aarzū nikle
kahīñ to ḳhatm kahānī ho rā.egānī kī
kahīñ to pyaas ke sahrā meñ aabjū nikle
ye ishq jins-e-girāñ-qadr hai kuchh aisā hī
samā.e sar meñ ye saudā to aabrū nikle
ajiib hai ye tajassus tirā ki jī chāhe
tū mil bhī jaa.e to terī na justujū nikle
to kyā ajab hai tirā ism raat paḌhte hue
charāġh tez havāoñ ke rū-ba-rū nikle
rahā na hosh kabhī apne haal kā jin ko
tire ḳhayāl kī galiyoñ meñ bā-vazū nikle
paḌe jo umr kī gadrā.ī sā.atoñ meñ kahīñ
vo aks shīsha-e-dil se na phir kabhū nikle
ye hijr-zād havā.eñ kareñ jo bain kabhī
to phir charāġh kī āñkhoñ se bhī lahū nikle
mazā to jab hai ki ik dūsre kī chāhat meñ
makāñ se niklūñ maiñ aur lā-makāñ se tū nikle
hamī ne daar ko chūmā thā naam par us ke
ye ham hī the jo mohabbat meñ surḳh-rū nikle
kuchh aise ruuh meñ apnī tū raqs kar 'jīnā'
bajeñ jo saañs ke ghuñghrū to sirf hū nikle
tere KHayal ke phulon se rang-o-bu nikle
jo tu nahin hai to phir teri aarzu nikle
kahin to KHatm kahani ho raegani ki
kahin to pyas ke sahra mein aabju nikle
ye ishq jins-e-giran-qadr hai kuchh aisa hi
samae sar mein ye sauda to aabru nikle
ajib hai ye tajassus tera ki ji chahe
tu mil bhi jae to teri na justuju nikle
to kya ajab hai tera ism raat paDhte hue
charagh tez hawaon ke ru-ba-ru nikle
raha na hosh kabhi apne haal ka jin ko
tere KHayal ki galiyon mein ba-wazu nikle
paDe jo umr ki gadrai saaton mein kahin
wo aks shisha-e-dil se na phir kabhu nikle
ye hijr-zad hawaen karen jo bain kabhi
to phir charagh ki aankhon se bhi lahu nikle
maza to jab hai ki ek dusre ki chahat mein
makan se niklun main aur la-makan se tu nikle
hami ne dar ko chuma tha nam par us ke
ye hum hi the jo mohabbat mein surKH-ru nikle
kuchh aise ruh mein apni tu raqs kar 'jina'
bajen jo sans ke ghunghru to sirf hu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.