tere KHayal ki wusat ko rasta kar ke
tire ḳhayāl kī vus.at ko rāsta kar ke
nikal paḌā huuñ zamāne meñ hausla kar ke
hamesha tujh ko mohabbat kī rah dikhā.eñge
tū dekh lenā buzurgoñ se mashvara kar ke
gumāñ yahī hai ki ḳhud ko talāshne vaale
har ek aks ko dekheñge aa.ina kar ke
hazīmateñ bhī muqaddar kī den haiñ 'āsim'
inheñ bhī dil se lagāo mo.āmla kar ke
tere KHayal ki wusat ko rasta kar ke
nikal paDa hun zamane mein hausla kar ke
hamesha tujh ko mohabbat ki rah dikhaenge
tu dekh lena buzurgon se mashwara kar ke
guman yahi hai ki KHud ko talashne wale
har ek aks ko dekhenge aaina kar ke
hazimaten bhi muqaddar ki den hain 'asim'
inhen bhi dil se lagao moamla kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.