tere KHayal mein jab zehn mubtala nahin tha
tere KHayal mein jab zehn mubtala nahin tha
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
tire ḳhayāl meñ jab zehn mubtalā nahīñ thā
maiñ sochtā thā magar aisā sochtā nahīñ thā
sadā lagāte rahe tujh ko Dūbne vaale
koī bhī tere sivā un ke paas thā nahīñ thā
zarā tū soch ki un bām-o-dar pe kyā guzrī
siyāh raat thī ghar meñ koī diyā nahīñ thā
maiñ apne aap se bāhar nikal ke kyā kartā
koī bhī shahr meñ mere mizāj kā nahīñ thā
safīna is liye ġharqāb ho gayā 'dānish'
thā jis ke haath meñ chappū vo nāḳhudā nahīñ thā
tere KHayal mein jab zehn mubtala nahin tha
main sochta tha magar aisa sochta nahin tha
sada lagate rahe tujh ko Dubne wale
koi bhi tere siwa un ke pas tha nahin tha
zara tu soch ki un baam-o-dar pe kya guzri
siyah raat thi ghar mein koi diya nahin tha
main apne aap se bahar nikal ke kya karta
koi bhi shahr mein mere mizaj ka nahin tha
safina is liye gharqab ho gaya 'danish'
tha jis ke hath mein chappu wo naKHuda nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.