tere KHayal se duniya tarash sakta hun
tire ḳhayāl se duniyā tarāsh saktā huuñ
magar kahāñ koī tujh sā tarāsh saktā huuñ
ye mo'jiza bhī mohabbat ne de rakhā hai mujhe
ki pyaas joḌūñ to dariyā tarāsh saktā huuñ
mire vujūd meñ maujūd haiñ mire apne
khulūñ to puurā qabīla tarāsh saktā huuñ
jo e'tibār nahīñ hai to aazmā mujh ko
akele-pan se maiñ mela tarāsh saktā huuñ
irāda kar to sahī mere paas aane kā
rukāvaToñ se bhī rasta tarāsh saktā huuñ
tere KHayal se duniya tarash sakta hun
magar kahan koi tujh sa tarash sakta hun
ye mo'jiza bhi mohabbat ne de rakha hai mujhe
ki pyas joDun to dariya tarash sakta hun
mere wujud mein maujud hain mere apne
khulun to pura qabila tarash sakta hun
jo e'tibar nahin hai to aazma mujh ko
akele-pan se main mela tarash sakta hun
irada kar to sahi mere pas aane ka
rukawaTon se bhi rasta tarash sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.