tere kun ka to pentra hai purana
tire kun kā to peñtrā hai purānā
na.e mo'jize māñgtā hai zamānā
chhupā hai jo ham se pata hai na us ko
mohabbat meñ hai jurm kuchh bhī chhupānā
bhare tarkashoñ kā bharam bhī bahut hai
nahīñ lāzmī tiir saare chalānā
safar hai paḌāv aate jaate raheñge
kisī ik Thikāne se kyā dil lagānā
‘ajūba sā kuchh ant meñ hogā 'fānī'
vagarna to kyā hī thā saarā fasāna
tere kun ka to pentra hai purana
nae mo'jize mangta hai zamana
chhupa hai jo hum se pata hai na us ko
mohabbat mein hai jurm kuchh bhi chhupana
bhare tarkashon ka bharam bhi bahut hai
nahin lazmi tir sare chalana
safar hai paDaw aate jate rahenge
kisi ek Thikane se kya dil lagana
‘ajuba sa kuchh ant mein hoga 'fani'
wagarna to kya hi tha sara fasana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.