tere naz uThane ko ji chahta hai
tire naaz uThāne ko jī chāhtā hai
muqaddar banāne ko jī chāhtā hai
fuġhāñ lab pe laane ko jī chāhtā hai
qayāmat uThāne ko jī chāhtā hai
nahīñ mar ke bhī bhūlnā jin ko mumkin
unheñ bhuul jaane ko jī chāhtā hai
tumheñ dekh kar aaj jān-e-tamannā
mohabbat jatāne ko jī chāhtā hai
vo ġham jis kī lazzat hai ma.alūm dil ko
vo ġham phir uThāne ko jī chāhtā hai
zarā bijliyoñ ko to āvāz denā
nasheman banāne ko jī chāhtā hai
ye dil āzmā.ish meñ Thahre na Thahre
magar āzmāne ko jī chāhtā hai
bahāreñ kahāñ raas ā.eñgī mujh ko
ḳhizāñ ko manāne ko jī chāhtā hai
ġham-e-tāza kī hai ye tamhīd shāyad
mirā muskurāne ko jī chāhtā hai
ghaḌī bhar yuuñ hī ruuTh jaao ḳhudārā
tumheñ phir manāne ko jī chāhtā hai
tumhārī in āñkhoñ kī gahrā.iyoñ meñ
mirā Duub jaane ko jī chāhtā hai
nazar kā ye parda jo haa.il hai ab tak
use 'sehr' uThāne ko jī chāhtā hai
tere naz uThane ko ji chahta hai
muqaddar banane ko ji chahta hai
fughan lab pe lane ko ji chahta hai
qayamat uThane ko ji chahta hai
nahin mar ke bhi bhulna jin ko mumkin
unhen bhul jaane ko ji chahta hai
tumhein dekh kar aaj jaan-e-tamanna
mohabbat jatane ko ji chahta hai
wo gham jis ki lazzat hai malum dil ko
wo gham phir uThane ko ji chahta hai
zara bijliyon ko to aawaz dena
nasheman banane ko ji chahta hai
ye dil aazmaish mein Thahre na Thahre
magar aazmane ko ji chahta hai
bahaaren kahan ras aaengi mujh ko
KHizan ko manane ko ji chahta hai
gham-e-taza ki hai ye tamhid shayad
mera muskurane ko ji chahta hai
ghaDi bhar yun hi ruTh jao KHudara
tumhein phir manane ko ji chahta hai
tumhaari in aankhon ki gahraiyon mein
mera Dub jaane ko ji chahta hai
nazar ka ye parda jo hail hai ab tak
use 'sehr' uThane ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.