tere naqsh-e-pa hon jis mein wo Dagar kahan se laun
tire naqsh-e-pā hoñ jis meñ vo Dagar kahāñ se lā.ūñ
ho hamesha saath terā vo safar kahāñ se lā.ūñ
koī aish hai davāmī na qarār koī daa.em
na ho jis kī shaam koī vo sahar kahāñ se lā.ūñ
vo ḳhudī kahāñ se lā.ūñ tire jabr ko jo toḌe
tah-e-teġh sar jhukā de maiñ vo sar kahāñ se lā.ūñ
pare āsmāñ se pahuñchūñ yahī aarzū hai lekin
vo taḌap kahāñ se lā.ūñ maiñ vo par kahāñ se lā.ūñ
dar-e-dilrubā pe 'jauhar' bhalā kaise pahuñchūñ āḳhir
maiñ shikasta-pā huuñ āshiq vo safar kahāñ se lā.ūñ
tere naqsh-e-pa hon jis mein wo Dagar kahan se laun
ho hamesha sath tera wo safar kahan se laun
koi aish hai dawami na qarar koi daem
na ho jis ki sham koi wo sahar kahan se laun
wo KHudi kahan se laun tere jabr ko jo toDe
tah-e-tegh sar jhuka de main wo sar kahan se laun
pare aasman se pahunchun yahi aarzu hai lekin
wo taDap kahan se laun main wo par kahan se laun
dar-e-dilruba pe 'jauhar' bhala kaise pahunchun aaKHir
main shikasta-pa hun aashiq wo safar kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.