tere nasib mein duniya ka ek jhamela hai
tire nasīb meñ duniyā kā ik jhamelā hai
'nadīm' kal bhī akelā thā ab bhī tanhā hai
mire rafīq mire ham-safar tumhāre liye
zamāne bhar kī mohabbat se khel khelā hai
ḳhabar ye dī hai mujhe aa ke rāstoñ ne abhī
udaas raah meñ lashkar 'adū kā dekhā hai
girā ke dard kī mujh par chahār dīvāreñ
ye kaun hai jo mujhe baar baar rotā hai
kisī ne haal na pūchhā tumhāre baa'd kabhī
tumhīñ batāo hamārā ye haal kaisā hai
banā rahā huuñ ḳhalā par maiñ 'aks 'aks tujhe
dikhā rahā huuñ zamāne ko yaar aisā hai
ḳhayāl-e-yār meñ siine ko chaak kar Daalā
tumhāre baa'd yuuñ ḳhud ko bahut jhiñjhoḌā hai
bichhaḌte lamhe kī majbūriyāñ tirī sun kar
yaqīn maan kaleje ko apne nochā hai
pahan ke paañv meñ zanjīr ik hasīna ne
hamāre dil meñ mohabbat kā tiir maarā hai
vo intizār kiyā kartā thā mirā pahroñ
jo dekh dekh mujhe rah-guzar badaltā hai
tumheñ bhī deñge zarūrat paḌe to le lenā
hamāre dil ke lahū se charāġh jaltā hai
huzūr aap kī chāhat meñ she'r kahte haiñ
hamārā shajra kahāñ shā'iroñ se miltā hai
pilā ke jaam mohabbat kā mujh ko aaj 'nadīm'
tire ḳhayāl ne auj-e-falak se pheñkā hai
tere nasib mein duniya ka ek jhamela hai
'nadim' kal bhi akela tha ab bhi tanha hai
mere rafiq mere ham-safar tumhaare liye
zamane bhar ki mohabbat se khel khela hai
KHabar ye di hai mujhe aa ke raston ne abhi
udas rah mein lashkar 'adu ka dekha hai
gira ke dard ki mujh par chahaar diwaren
ye kaun hai jo mujhe bar bar rota hai
kisi ne haal na puchha tumhaare ba'd kabhi
tumhin batao hamara ye haal kaisa hai
bana raha hun KHala par main 'aks 'aks tujhe
dikha raha hun zamane ko yar aisa hai
KHayal-e-yar mein sine ko chaak kar Dala
tumhaare ba'd yun KHud ko bahut jhinjhoDa hai
bichhaDte lamhe ki majburiyan teri sun kar
yaqin man kaleje ko apne nocha hai
pahan ke panw mein zanjir ek hasina ne
hamare dil mein mohabbat ka tir mara hai
wo intizar kiya karta tha mera pahron
jo dekh dekh mujhe rah-guzar badalta hai
tumhein bhi denge zarurat paDe to le lena
hamare dil ke lahu se charagh jalta hai
huzur aap ki chahat mein she'r kahte hain
hamara shajra kahan sha'iron se milta hai
pila ke jam mohabbat ka mujh ko aaj 'nadim'
tere KHayal ne auj-e-falak se phenka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.