tere nazdik aata ja raha hun
tire nazdīk aatā jā rahā huuñ
vajūd apnā miTātā jā rahā huuñ
muqaddar āzmātā jā rahā huuñ
maiñ tujh se dil lagātā jā rahā huuñ
zabānī tiir khātā jā rahā huuñ
maiñ phir bhī muskurātā jā rahā huuñ
tujhe paane kī ik ḳhvāhish meñ jānāñ
maiñ kitne zaḳhm khātā jā rahā huuñ
añdheroñ se bahut Dartā huuñ lekin
charāġhoñ ko bujhātā jā rahā huuñ
rakhe the raah meñ jo dostoñ ne
maiñ sab patthar haTātā jā rahā huuñ
lagā kar aag apne hī makāñ meñ
maiñ sho.aloñ ko bujhātā jā rahā huuñ
azal kī samt se chal kar maiñ 'ārif'
abad kī samt jaatā jā rahā huuñ
tere nazdik aata ja raha hun
wajud apna miTata ja raha hun
muqaddar aazmata ja raha hun
main tujh se dil lagata ja raha hun
zabani tir khata ja raha hun
main phir bhi muskuraata ja raha hun
tujhe pane ki ek KHwahish mein jaanan
main kitne zaKHm khata ja raha hun
andheron se bahut Darta hun lekin
charaghon ko bujhata ja raha hun
rakhe the rah mein jo doston ne
main sab patthar haTata ja raha hun
laga kar aag apne hi makan mein
main shoalon ko bujhata ja raha hun
azal ki samt se chal kar main 'arif'
abad ki samt jata ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.