tere nizam ko jab chahega badal dega
tire nizām ko jab chāhegā badal degā
miyāñ ye vaqt hai bigḌā to phir kuchal degā
jahāñ bhī jaao mohabbat ke biij bo denā
kahīñ to peḌ ugegā kahīñ to phal degā
burā-bhalā na kaho is ġharīb bādal ko
ḳhudā ne chāhā to ik roz ye bhī jal degā
kisī faqīr ke pairoñ meñ bāñdh mat beḌī
mahal ko chhoḌ ke vo jhoñpḌī meñ chal degā
kahāñ ḳhabar thī kalī ko ki baaġh kā maalī
karegā us pe sitam aur phir masal degā
kabhī na kahnā tū 'shād' us se raaz kī bāteñ
yahāñ sunegā vahāñ jā ke vo ugal degā
tere nizam ko jab chahega badal dega
miyan ye waqt hai bigDa to phir kuchal dega
jahan bhi jao mohabbat ke bij bo dena
kahin to peD ugega kahin to phal dega
bura-bhala na kaho is gharib baadal ko
KHuda ne chaha to ek roz ye bhi jal dega
kisi faqir ke pairon mein bandh mat beDi
mahal ko chhoD ke wo jhonpDi mein chal dega
kahan KHabar thi kali ko ki bagh ka mali
karega us pe sitam aur phir masal dega
kabhi na kahna tu 'shad' us se raaz ki baaten
yahan sunega wahan ja ke wo ugal dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.