tere qadmon pe Dali zindagi hai
tire qadmoñ pe Daalī zindagī hai
bil-āḳhir to banā lī zindagī hai
hamārī lā-ubālī zindagī hai
tamannāoñ se ḳhālī zindagī hai
hamārī ik jiyālī zindagī hai
mo.assir aur jalālī zindagī hai
azal se le kar aa.e dard-mandī
hamārī dard vaalī zindagī hai
ise ai maut hāthoñ haath lenā
baḌe nāzoñ se paalī zindagī hai
baḌhī jaatī hai az-ḳhud jānib-e-marg
baḌī hī bholī-bhālī zindagī hai
ḳhudā ne aadmī se tang aa kar
zamīñ par se uThā lī zindagī hai
hai dil masrūr to duniyā munavvar
vagarna raat kaalī zindagī hai
qazā se ai 'amar' yuuñ be-ḳhabar ho
ki jaise lā-zavālī zindagī hai
tere qadmon pe Dali zindagi hai
bil-aKHir to bana li zindagi hai
hamari la-ubaali zindagi hai
tamannaon se KHali zindagi hai
hamari ek jiyali zindagi hai
moassir aur jalali zindagi hai
azal se le kar aae dard-mandi
hamari dard wali zindagi hai
ise ai maut hathon hath lena
baDe nazon se pali zindagi hai
baDhi jati hai az-KHud jaanib-e-marg
baDi hi bholi-bhaali zindagi hai
KHuda ne aadmi se tang aa kar
zamin par se uTha li zindagi hai
hai dil masrur to duniya munawwar
wagarna raat kali zindagi hai
qaza se ai 'amar' yun be-KHabar ho
ki jaise la-zawali zindagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.