tere qalam se jo likkha hai wo hisab na de
tire qalam se jo likkhā hai vo hisāb na de
mujhe shu.ūr atā kar mujhe kitāb na de
maiñ is sadī meñ to ḳhāmosh rah nahīñ saktā
abhī savāl sune jā abhī javāb na de
agar qubūl kare to yahī duā hai mirī
mirā ḳhudā mujhe jannat meñ bhī sharāb na de
rahe ye farq mo.azzin meñ aur munāfiq meñ
jise azaañ na mile us ko āftāb na de
baḌe daraḳhtoñ kī barakat se ḳhuub vāqif huuñ
mirī zamīñ mire bachchoñ ko ye azaab na de
tamām umr ye āñkheñ sulagtī rahtī haiñ
mujhe to niiñd atā kar mujhe to ḳhvāb na de
tire hī ghar ke buzurgoñ meñ jang jaarī hai
maiñ kah rahā thā ki yuuñ dars-e-inqalāb na de
tere qalam se jo likkha hai wo hisab na de
mujhe shuur ata kar mujhe kitab na de
main is sadi mein to KHamosh rah nahin sakta
abhi sawal sune ja abhi jawab na de
agar qubul kare to yahi dua hai meri
mera KHuda mujhe jannat mein bhi sharab na de
rahe ye farq moazzin mein aur munafiq mein
jise azan na mile us ko aaftab na de
baDe daraKHton ki barakat se KHub waqif hun
meri zamin mere bachchon ko ye azab na de
tamam umr ye aankhen sulagti rahti hain
mujhe to nind ata kar mujhe to KHwab na de
tere hi ghar ke buzurgon mein jang jari hai
main kah raha tha ki yun dars-e-inqalab na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.