Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere raste mein baiThe hain to is mein kya burai hai

Sulaiman Jazib

tere raste mein baiThe hain to is mein kya burai hai

Sulaiman Jazib

MORE BYSulaiman Jazib

    tire raste meñ baiThe haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    tujhe ham dekh lete haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    hamārā jurm itnā hai tumheñ apnā samajhte haiñ

    tumheñ apnā samajhte haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    bichhaḌ kar tum se ham jānāñ tumhāre paas hote haiñ

    tumhāre paas hote haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    tumhāre zulf ke saa.e hameñ to raas aate haiñ

    hameñ ye raas aate haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    tire jaise nahīñ lekin bahut achchhoñ se achchhe haiñ

    bahut achchhoñ se achchhe haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    mire ash.ār meñ jaanī tirī āñkhoñ ke charche haiñ

    tirī āñkhoñ ke charche haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    tirī rusvā.ī ke Dar se tujhe chhup-chhup ke milte haiñ

    tujhe chhup-chhup ke milte haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    kisī ne ye diyā ta.ana ki 'jāzib' ham kisī ke haiñ

    agar 'jāzib' kisī ke haiñ to is meñ kyā burā.ī hai

    tere raste mein baiThe hain to is mein kya burai hai

    tujhe hum dekh lete hain to is mein kya burai hai

    hamara jurm itna hai tumhein apna samajhte hain

    tumhein apna samajhte hain to is mein kya burai hai

    bichhaD kar tum se hum jaanan tumhaare pas hote hain

    tumhaare pas hote hain to is mein kya burai hai

    tumhaare zulf ke sae hamein to ras aate hain

    hamein ye ras aate hain to is mein kya burai hai

    tere jaise nahin lekin bahut achchhon se achchhe hain

    bahut achchhon se achchhe hain to is mein kya burai hai

    mere ashaar mein jaani teri aankhon ke charche hain

    teri aankhon ke charche hain to is mein kya burai hai

    teri ruswai ke Dar se tujhe chhup-chhup ke milte hain

    tujhe chhup-chhup ke milte hain to is mein kya burai hai

    kisi ne ye diya tana ki 'jazib' hum kisi ke hain

    agar 'jazib' kisi ke hain to is mein kya burai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now