tere ruKH ko jab ai sanam dekhte hain
tire ruḳh ko jab ai sanam dekhte haiñ
ḳhudā ko ḳhudā kī qasam dekhte haiñ
tumheñ dekhte hoñ to diide hī phūTeñ
buto shān-e-maulā ko ham dekhte haiñ
gila ġhair kā kyā azīzoñ se apne
na dushman bhī dekhe jo ham dekhte haiñ
milā karte haiñ sab se ham jhuk ke daa.im
kamāñ kī tarah ḳhud meñ ḳham dekhte haiñ
zamāne ne ka.aba kalīsā meñ dekhā
magar us ko is dil meñ ham dekhte haiñ
chaḌhā lete haiñ sab tabarruk samajh kar
na whiskey na Tharrā na rum dekhte haiñ
miTā dete haiñ us ko chāqū se 'asġhar'
mirā naam jis jā raqam dekhte haiñ
tere ruKH ko jab ai sanam dekhte hain
KHuda ko KHuda ki qasam dekhte hain
tumhein dekhte hon to dide hi phuTen
buto shan-e-maula ko hum dekhte hain
gila ghair ka kya azizon se apne
na dushman bhi dekhe jo hum dekhte hain
mila karte hain sab se hum jhuk ke daim
kaman ki tarah KHud mein KHam dekhte hain
zamane ne kaba kalisa mein dekha
magar us ko is dil mein hum dekhte hain
chaDha lete hain sab tabarruk samajh kar
na whiskey na Tharra na rum dekhte hain
miTa dete hain us ko chaqu se 'asghar'
mera nam jis ja raqam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.