tere sanche mein Dhalna chahta hai
tire sāñche meñ Dhalnā chāhtā hai
ye dil karvaT badalnā chāhtā hai
mirā dil ghar thā ik jazbe kā lekin
vo ab ghar se nikalnā chāhtā hai
samundar meñ bujhā kar aks-e-barham
ki ab sūraj pighalnā chāhtā hai
mirī nīñdoñ ko bhaTkāyā hai us ne
vo ḳhvāboñ se nikalnā chāhtā hai
umangoñ ko sameTe nā-tavāñ dil
khilaunoñ se bahalnā chāhtā hai
sajā kar ḳhaar dāman meñ ye rasta
mire ḳhuuñ se mahaknā chāhtā hai
bagūloñ se huā raushan ye sahrā
tirī sūrat meñ Dhalnā chāhtā hai
tere sanche mein Dhalna chahta hai
ye dil karwaT badalna chahta hai
mera dil ghar tha ek jazbe ka lekin
wo ab ghar se nikalna chahta hai
samundar mein bujha kar aks-e-barham
ki ab suraj pighalna chahta hai
meri nindon ko bhaTkaya hai us ne
wo KHwabon se nikalna chahta hai
umangon ko sameTe na-tawan dil
khilaunon se bahalna chahta hai
saja kar KHar daman mein ye rasta
mere KHun se mahakna chahta hai
bagulon se hua raushan ye sahra
teri surat mein Dhalna chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.