tere sapne meri nindon ke barabar kar de
tire sapne mirī nīñdoñ ke barābar kar de
tū mujhe apnī vafāoñ se mo.attar kar de
merī sāñsoñ kā yaqīñ aaj zarā hone de
rū-ba-rū aa ke mujhe chain mayassar kar de
jis ne sāhil ke har ik dard ko apnāyā hai
ai ḳhudā tū mujhe vaisā hī samundar kar de
vaqt detā hai baḌā zaḳhm to bhartā bhī hai
muskurā ke tū zarā ḳhud ko gul-e-tar kar de
dar-o-dīvār bhī hai chhat bhī jharoka bhī hai
ye makāñ hai tū zarā aa ke use ghar kar de
raah sunsān mujhe kaun dikhā.e manzil
ik nazar Daal mujhe miil kā patthar kar de
apne pairoñ pe khaḌī ho ke maiñ duniyā dekhūñ
ai ḳhudā 'shād' kā qad aisā tanāvar kar de
tere sapne meri nindon ke barabar kar de
tu mujhe apni wafaon se moattar kar de
meri sanson ka yaqin aaj zara hone de
ru-ba-ru aa ke mujhe chain mayassar kar de
jis ne sahil ke har ek dard ko apnaya hai
ai KHuda tu mujhe waisa hi samundar kar de
waqt deta hai baDa zaKHm to bharta bhi hai
muskura ke tu zara KHud ko gul-e-tar kar de
dar-o-diwar bhi hai chhat bhi jharoka bhi hai
ye makan hai tu zara aa ke use ghar kar de
rah sunsan mujhe kaun dikhae manzil
ek nazar Dal mujhe mil ka patthar kar de
apne pairon pe khaDi ho ke main duniya dekhun
ai KHuda 'shad' ka qad aisa tanawar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.