tere shikwon se jaur-e-asman tak baat aa pahunchi
tire shikvoñ se jaur-e-āsmāñ tak baat aa pahuñchī
kahāñ se ibtidā kī thī kahāñ tak baat aa pahuñchī
mohabbat meñ hamāre imtihāñ tak baat aa pahuñchī
jahāñ rukne lage dam bhī vahāñ tak baat aa pahuñchī
chaman meñ aag lagne kā bhī sadma kam na thā mujh ko
taḌap ai dil ki ab to āshiyāñ tak baat aa pahuñchī
huā āġhāz qatre se magar ye bahs bil-āḳhir
baḌhī itnī ki bahr-e-be-karāñ tak baat aa pahuñchī
ḳhudā jaane mirī tauba kā ab anjām kyā hogā
janāb-e-shaiḳh se pīr-e-muġhāñ tak baat aa pahuñchī
kujā vo din ki ganj-e-be-bahā samjhā mohabbat ko
kujā ye din ki jins-e-rā.egāñ tak baat aa pahuñchī
yaqīñ thā ham ko raaz ifshā adū hī ne kiyā hogā
bahut nādim hue jab rāz-dāñ tak baat aa pahuñchī
na maiñ ab dil kī suntā huuñ na dil ab merī suntā hai
tumhārī mehrbānī se yahāñ tak baat aa pahuñchī
nahīñ bhī muñh se kahnā jin ko 'sāhir' baar hotā hai
ġhazab hogā kabhī jo un kī haañ tak baat aa pahuñchī
tere shikwon se jaur-e-asman tak baat aa pahunchi
kahan se ibtida ki thi kahan tak baat aa pahunchi
mohabbat mein hamare imtihan tak baat aa pahunchi
jahan rukne lage dam bhi wahan tak baat aa pahunchi
chaman mein aag lagne ka bhi sadma kam na tha mujh ko
taDap ai dil ki ab to aashiyan tak baat aa pahunchi
hua aaghaz qatre se magar ye bahs bil-aKHir
baDhi itni ki bahr-e-be-karan tak baat aa pahunchi
KHuda jaane meri tauba ka ab anjam kya hoga
janab-e-shaiKH se pir-e-mughan tak baat aa pahunchi
kuja wo din ki ganj-e-be-baha samjha mohabbat ko
kuja ye din ki jins-e-raegan tak baat aa pahunchi
yaqin tha hum ko raaz ifsha adu hi ne kiya hoga
bahut nadim hue jab raaz-dan tak baat aa pahunchi
na main ab dil ki sunta hun na dil ab meri sunta hai
tumhaari mehrbani se yahan tak baat aa pahunchi
nahin bhi munh se kahna jin ko 'sahir' bar hota hai
ghazab hoga kabhi jo un ki han tak baat aa pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.