tere siwa kise DhunDun sarab-o-sahra mein
tire sivā kise DhūñDūñ sarāb-o-sahrā meñ
tirī hī zaat kā partav har ik tamannā meñ
ye tishnagī to azal se hai ham-safar apnī
maiñ kal pahāḌ pe tishna thā aaj dariyā meñ
haiñ sard aah se jhoñke havā ke yaḳh-basta
guzishta rut sī agan bhī nahīñ hai barkhā hai
guzar guzar ke har ik lamha sang-zār havā
bhaTak rahā huuñ maiñ yaado ke ik ajantā meñ
shab-e-hayāt guzārī sabhī ne ḳhvāboñ meñ
ham hī ko raas na aa.e habāb dariyā meñ
tere siwa kise DhunDun sarab-o-sahra mein
teri hi zat ka partaw har ek tamanna mein
ye tishnagi to azal se hai ham-safar apni
main kal pahaD pe tishna tha aaj dariya mein
hain sard aah se jhonke hawa ke yaKH-basta
guzishta rut si agan bhi nahin hai barkha hai
guzar guzar ke har ek lamha sang-zar hawa
bhaTak raha hun main yaado ke ek ajanta mein
shab-e-hayat guzari sabhi ne KHwabon mein
hum hi ko ras na aae habab dariya mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.