tere suluk se milta nahin kisi ka pata
tire sulūk se miltā nahīñ kisī kā patā
na dostī na muravvat na dushmanī kā patā
'ajīb shaḳhs hai kin jangaloñ se aaya hai
talāsh kartā hai shahroñ meñ aadmī kā patā
jise talāsh hai us kī use vo ḳhud DhūñDe
koī batātā nahīñ hai yahāñ kisī kā patā
vo ek chehra kahīñ bhiiḌ meñ huā ojhal
batā rahā thā jo mujh ko abhī ḳhushī kā patā
hamāre rāhnumāoñ kā bhī javāb nahīñ
dikhā rahe haiñ patangoñ ko raushnī kā patā
tere suluk se milta nahin kisi ka pata
na dosti na murawwat na dushmani ka pata
'ajib shaKHs hai kin jangalon se aaya hai
talash karta hai shahron mein aadmi ka pata
jise talash hai us ki use wo KHud DhunDe
koi batata nahin hai yahan kisi ka pata
wo ek chehra kahin bhiD mein hua ojhal
bata raha tha jo mujh ko abhi KHushi ka pata
hamare rahnumaon ka bhi jawab nahin
dikha rahe hain patangon ko raushni ka pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.