tere waste jaan pe khelenge hum ye samai hai dil mein KHuda ki qasam
tere waste jaan pe khelenge hum ye samai hai dil mein KHuda ki qasam
Agha Hajju Sharaf
MORE BYAgha Hajju Sharaf
tire vāste jaan pe kheleñge ham ye samā.ī hai dil meñ ḳhudā kī qasam
rah-e-'ishq se ab na haTeñge qadam hameñ apne hī sidq-o-safā kī qasam
mire purze agarche uḌā.iyegā to gul-e-zaḳhm se mahkegī 'ishq kī bū
khiñche teġh tirī to ragaḌ duuñ gulū mujhe tere hī jaur-o-jafā kī qasam
mirā naam jo yaar hai pūchh rahā maiñ batā duuñ tujhe jo laqab hai mirā
mujhe kahte haiñ kushta-e-nāz-o-adā tire ġhamza-e-hosh-rubā kī qasam
lab-e-gor agarche judā.ī meñ huuñ magar ā.ina-e-dil kī safā.ī meñ huuñ
tirā mahv ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ huuñ mujhe apne hī 'ishq-o-vafā kī qasam
kiye tum ne jo zulm vo maiñ ne sahe mirī āñkhoñ se barsoñ hī ashk bahe
koī ġhamza-o-ishva ab uTh na rahe tumheñ apne hī nāz-o-adā kī qasam
shab-e-hijr meñ aañkh jo band huī tirī zulf kī yaad do chand huī
mirī saañs ulajh ke kamand huī mujhe terī hī zulf-e-dutā kī qasam
tirī chaal se hashr bapā jo kiyā tire ḳhauf se haal mirī ye huā
huī jaatī thī ruuh badan meñ fanā mujhe āmad-e-roz-e-jazā kī qasam
mire hāthoñ meñ ḳhuun malo to zarā tumhīñ dekho to rañg dikhātā hai kyā
karo aaj numūd-e-shahīd-e-adā tumheñ shoḳhī-e-rañg-e-hinā kī qasam
kahā lailā ne hai mujhe qais kā ġham mire dil ko hai us ke junūñ kā alam
nahīñ chain judā.ī meñ ab koī dam use vahshī-e-be-sar-o-pā kī qasam
tirī bazm kā misl hī yaar nahīñ ki jināñ meñ ye naqsh-o-nigār nahīñ
kahīñ tere chaman se bahār nahīñ mujhe bāġh-e-iram kī fazā kī qasam
ġham-e-daulat-e-vasl meñ ho ke hazīñ rah-e-ishq-o-vafā meñ haiñ ḳhāk-nashīñ
havas ab hameñ jāh-o-hasham kī nahīñ hameñ tere hī nashv-o-numā kī qasam
ye du'ā hai qafas meñ barā-e-chaman ki guloñ se ḳhudā na chhuḌā.e chaman
mujhe rakhtī hai zinda havā-e-chaman gul-o-ġhuncha-o-bād-e-sabā kī qasam
tirā shefta huuñ mirī tujh meñ hai jaañ tah-e-teġh na kar mujhe jān-e-jahāñ
mirā ġhusse meñ aa ke miTā na nishāñ tujhe jāh-o-jalāl-e-ḳhudā kī qasam
ye havas hai ki dard-e-jigar meñ marūñ jo masīh bhī aa.e to dam na bharūñ
kabhī tere sivā na ilaaj karūñ mujhe tere hī dast-e-shifā kī qasam
sharaf us ne diye hameñ saikḌoñ dam rahe tīnat saaf se paak hī ham
kahī baat agar to sach hī kahī kabhī jhuuT na bole ḳhudā kī qasam
tere waste jaan pe khelenge hum ye samai hai dil mein KHuda ki qasam
rah-e-'ishq se ab na haTenge qadam hamein apne hi sidq-o-safa ki qasam
mere purze agarche uDaiyega to gul-e-zaKHm se mahkegi 'ishq ki bu
khinche tegh teri to ragaD dun gulu mujhe tere hi jaur-o-jafa ki qasam
mera nam jo yar hai puchh raha main bata dun tujhe jo laqab hai mera
mujhe kahte hain kushta-e-naz-o-ada tere ghamza-e-hosh-ruba ki qasam
lab-e-gor agarche judai mein hun magar aaina-e-dil ki safai mein hun
tera mahw KHuda ki KHudai mein hun mujhe apne hi 'ishq-o-wafa ki qasam
kiye tum ne jo zulm wo main ne sahe meri aankhon se barson hi ashk bahe
koi ghamza-o-ishwa ab uTh na rahe tumhein apne hi naz-o-ada ki qasam
shab-e-hijr mein aankh jo band hui teri zulf ki yaad do chand hui
meri sans ulajh ke kamand hui mujhe teri hi zulf-e-duta ki qasam
teri chaal se hashr bapa jo kiya tere KHauf se haal meri ye hua
hui jati thi ruh badan mein fana mujhe aamad-e-roz-e-jaza ki qasam
mere hathon mein KHun malo to zara tumhin dekho to rang dikhata hai kya
karo aaj numud-e-shahid-e-ada tumhein shoKHi-e-rang-e-hina ki qasam
kaha laila ne hai mujhe qais ka gham mere dil ko hai us ke junun ka alam
nahin chain judai mein ab koi dam use wahshi-e-be-sar-o-pa ki qasam
teri bazm ka misl hi yar nahin ki jinan mein ye naqsh-o-nigar nahin
kahin tere chaman se bahaar nahin mujhe bagh-e-iram ki faza ki qasam
gham-e-daulat-e-wasl mein ho ke hazin rah-e-ishq-o-wafa mein hain KHak-nashin
hawas ab hamein jah-o-hasham ki nahin hamein tere hi nashw-o-numa ki qasam
ye du'a hai qafas mein bara-e-chaman ki gulon se KHuda na chhuDae chaman
mujhe rakhti hai zinda hawa-e-chaman gul-o-ghuncha-o-baad-e-saba ki qasam
tera shefta hun meri tujh mein hai jaan tah-e-tegh na kar mujhe jaan-e-jahan
mera ghusse mein aa ke miTa na nishan tujhe jah-o-jalal-e-KHuda ki qasam
ye hawas hai ki dard-e-jigar mein marun jo masih bhi aae to dam na bharun
kabhi tere siwa na ilaj karun mujhe tere hi dast-e-shifa ki qasam
sharaf us ne diye hamein saikDon dam rahe tinat saf se pak hi hum
kahi baat agar to sach hi kahi kabhi jhuT na bole KHuda ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.