tere visal ka din bhi guzarne wala hai
tire visāl kā din bhī guzarne vaalā hai
yahāñ pe kaun sā manzar Thaharne vaalā hai
maiñ roz ḳhvāb meñ ab dekhtā huuñ talvāreñ
mujhe zarūr koī qatl karne vaalā hai
ka.ī taraf se idhar tiir aate rahte haiñ
kahāñ hamārā koī zaḳhm bharne vaalā hai
vo ek shaḳhs jo dariyā se baḌh ke hai gahrā
koī ab us kī bhī tah meñ utarne vaalā hai
tumhārā jiinā bhī kis kaam kā hai ai 'sāqib'
yahāñ pe kaun bhalā tum pe marne vaalā hai
tere visal ka din bhi guzarne wala hai
yahan pe kaun sa manzar Thaharne wala hai
main roz KHwab mein ab dekhta hun talwaren
mujhe zarur koi qatl karne wala hai
kai taraf se idhar tir aate rahte hain
kahan hamara koi zaKHm bharne wala hai
wo ek shaKHs jo dariya se baDh ke hai gahra
koi ab us ki bhi tah mein utarne wala hai
tumhaara jina bhi kis kaam ka hai ai 'saqib'
yahan pe kaun bhala tum pe marne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.