tere visal ka lamha hubab lagta hai
tire visāl kā lamha hubāb lagtā hai
ye ḳhvāb jāgtī āñkhoñ kā ḳhvāb lagtā hai
ye mere haath use chhū ke dekhnā chāheñ
vo aadmī to mujhe ik sarāb lagtā hai
hameñ to sirf shabīheñ milī haiñ yā saa.e
vo kaun haiñ jinheñ chehra kitāb lagtā hai
maiñ aadmī kī tabī.at se kuchh shanāsā huuñ
so mujh ko shahr meñ jiinā azaab lagtā hai
ye mausamoñ kā taġhayyur use badal degā
vo hogā ḳhaak jo chehra gulāb lagtā hai
tere visal ka lamha hubab lagta hai
ye KHwab jagti aankhon ka KHwab lagta hai
ye mere hath use chhu ke dekhna chahen
wo aadmi to mujhe ek sarab lagta hai
hamein to sirf shabihen mili hain ya sae
wo kaun hain jinhen chehra kitab lagta hai
main aadmi ki tabiat se kuchh shanasa hun
so mujh ko shahr mein jina azab lagta hai
ye mausamon ka taghayyur use badal dega
wo hoga KHak jo chehra gulab lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.